Sunday, November 14, 2010

20 Golden Sayings of Hazrat Imam Ali A.S






















1) Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
Jis se tum main ghuroor paida ho jaye.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)



2) Kisi ne Hazrat Ali A.S. se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur
dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai.
Jab ke heeray main aik darar aa jai to
wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-Hazrat Imam Ali (A.S.)



3) Hazrat Ali A.S. Ka Farmaan Hey:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Aap K Hath Kale Kar Dega.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)



4) Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




5) Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se
Wabasta Hona Tum Per ALLAH Ki Enyat Hai.
(Imam Hussain A.S.)



6) Hazrat Ali A.S. Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do Ke
Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko Ek Bhi Moqa Na Do
Ke Wo Tumhara Dushman Banay
-Hazrat Imam Ali (A.S.)



7) sab se bara gunah wo he jo
karne walay ki nazar me chota ho
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




8) Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)


9) Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




10) Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




11) Allah k nazdek sab say ziada gunah gar
chez jhoot bolnay wali zuban he.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




12) Ghulab ka phool bano
 Kyonki yeh phool us k haath me bhi
Khushboo chor daita hain jo Isey masal kar phaikh daita hai
-Hazrat Imam Ali (A.S.)


13) Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
Kyon ke Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh Ke Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
Kyon ke ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai..
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
Kyon ke Mera RuB ebadat K LayeQ Hai......
-Hazrat Imam Ali (A.S.)






14) Aik Shakhs Ne Hazrat Ali A.S. Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qayamat


Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut


Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya


Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya


Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba


Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba


Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna


Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
-Hazrat Imam Ali (A.S.)





15) Apni zuban ki tezi us per mat azmao
Jis ne tumhen bolna sekhaya
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




16)  "Sub se Ziyada Kamzor Aadmi wo he
 Jo Dost ko Haasil karne me Naakaam ho,
Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he
Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




17) 2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1.  Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!

2.  Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
-Hazrat Imam Ali (A.S.)


18) Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo
  Kyon ke Agar tu Tang-dast huwa to
  Ye tujhe Chorh Denge Or agar to
  Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.
-Hazrat Imam Ali (A.S.)




19) "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
        yeh shukar karo k ALLAH hamaray
        gunaahon ki saza foran nahi deta.."
-Hazrat Imam Ali (A.S.)



20) 4 Batain Elim Ka Nichour Hain,


1.) ALLAH Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALLAH Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
-Hazrat Imam Ali (A.S.)


Reference:

Collected From Nahjul Balagha Book by Hazrat Ali A.S
and Translated into Urdu