DonkeyMails.com: No Minimum Payout

Sunday, November 21, 2010

20 Golden Sayings of Hazrat Ali A.S Part-2..


 


















Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur
Rizaq ka koi rasta na niklay to
Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
-Hazrat Imam Ali A.S




Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna
Nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch
Ghalt to nahe ker rahay kyon k
Seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy
-Hazrat Imam Ali A.S






Dolat Mitti ki tarhan hy aur
mitti ko pair k niche rehna chahyay.
Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi
Aur Qabar zinda Insano k liye Nahe hoti...
-Hazrat Imam Ali A.S






Dolat ki masti se Allah ki panah mango
Kyon keh yeh lambi masti hy keh jis k
Nashay ko sivaiy mout ke koi dosri cheez nhe utaar sakti.
-Hazrat Imam Ali A.S


Jo Shakhs Apnay Her Kaam ko Pasand kerta hy
Us ki Aqal Mein Nuqsan aa jata hy.
-Hazrat Imam Ali A.S




Aadmi ki qabliyat uski zubaan k neechay posheeda hy
-Hazrat Imam Ali A.S




Jab ibadat kartay ho tu khuda ki rehmat ko zehan main rakha karo,
Aur jab gunah kartay ho tu khuda k azab ko zehan main rakha karo,
-Hazrat Imam Ali A.S




Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota
Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon
-Hazrat Imam Ali A.S




Tumhari woh khamoshi jis ke baad
Tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey,
Tumharey uss kalam sey behtar hay
Jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
-Hazrat Imam Ali A.S




Khoobsorati kaproun se nahe Ilm o adab se hoti hay
-Hazrat Imam Ali A.S


Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay
-Hazrat Imam Ali A.S


Yeh zindagi do din ki hai ek din tumharay haq mai
Aur ek din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna
Aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
-Hazrat Imam Ali A.S




Tum acha karo aur zamana bura samjhay ,
Yeh tumharay haq mai behter hai
Bajaye is k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhay.
-Hazrat Imam Ali A.S




Lambi umeedoon se perhaiz kia karo,
Kyon k yeh dosri naimtoon ko
Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain
Aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
-Hazrat Imam Ali A.S




Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat,
Insan ko Dushmnon k dilon main bhi
Mehboob bana deti hai
-Hazrat Imam Ali A.S




Ay ALLAH pak, jab maine tujh se nahi manga
Tab bhi tu ne mujhe ataa kiya tou ye kaise mumkin hai k
Main tujh se mangon or tu ataa na kare
-Hazrat Imam Ali A.S




Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay
-Hazrat Imam Ali A.S


Gunah Jawan ka bhi bad hy magar bodhay ka bad tar hay
-Hazrat Imam Ali A.S






Azadi ki hifazat na kernay wala
Ghulami mien griftaar h jata hay
-Hazrat Imam Ali A.S


Presented By Hassan Ali
Collected From Nahjul Balagha Book by Hazrat Ali A.S
and Translated into Urdu