DonkeyMails.com: No Minimum Payout

Friday, January 14, 2011

Maa.. A Beautiful Heart Touching Poem

Main kuch ashar maa par pesh kana chahata hoo
jo kise UnKnown Shayar ne likhe 
yeh shayari mere favourite shayari hain
Umeed karta hoo aap sab ko bahut pasand aayege..




Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay 

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke "O Meri Maa"
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha

Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko


Written by Unknown Shayar